 |
Naya Naya Hain
naye Dhang haiN ab, zamaane naye haiN
na aane ke un ke, bahaane naye haiN
nahiN kuch hai badla riwaaj-e-muhabbat
hai qissa wahi par, diwaane naye haiN
nigaahoN ki aadat wahi hai puraani
nishaana wahi par, nishaane naye haiN
agar aik bichDa nasheman to kya gham
banaane hameN aashiyaane naye haiN
badal kar qabaa-e-kuhan sochte haiN
hue haal apne puraane naye haiN
rihaa daur-e-maa'zi ki yaadoN se ho kar
anis aaj likhte fasaane naye haiN !
Submitted byArun K S
Got a good shayri yourself? Submit your best Shayari to FUKKAD, and if we enjoy, we might make you famous - or at least put your name, email, address & country on the site.
Email it to us
|