 |
Takhdir..
As a Bachelor
Takdir hai, magar kismat nahi khulti
tajmahal banana chahata hoon
lekin mumtaz nahi milti
As a Lover
Takdir hai, magar kismat nahi khulti
tajmahal banana chahata hoon,
mumtaz mil gayi hai magar
woh shaadi nahi karti
Aur Shadi kay baad,
As a Married person
Takdir hai, magar kismat nahi khulti
tajmahal banana chahata hoon,
mumtaz nahi marti.
Submitted byBobby Aiden (), IND
Makhmali Chaddar
mein ek nadiya si bahnay lagi thi
ki tum toofaan ban kar aa gaye
baha kar meray mann kay bandh
tum hawa ka jhonkha ban ud gaye
meri asha kay deep jhilmilaye thay
ek pal mein bhujha kar chalay gaye
kyon mein tumko rok nahin paati
kyon mein tumko bhool nahin paati
pagali si mein dekhti rah jaati hoon
varsha ritu ki baadh jaaisay
meray mann ko rondh jaatay ho
rahe jaati hai tumhaari yaadein
makhmali chaddar si beechi
meray mann kay har konay par...
Submitted byArchana Harit (), Canada
Got a good shayri yourself? Submit your best Shayari to FUKKAD, and if we enjoy, we might make you famous - or at least put your name, email, address & country on the site.
Email it to us
|