 |
Yeh to khel taamasha hai
Ek do Mulakato mein..Pyar nahi hai ho jata,
Yeh to yaaro Pyar nahi hai, Yeh to khel taamasha hai,
Aajkal ka pyar hai kya,
Ek jaata hai duja aa jaata hai,
Duje ke jaane ke baad phir pyar ho jaata hai,
Yaaro pyar koi khel nahi hai jo bar bar ho jaata hai,
Dil ke ghar mein to mere yaaro ek hi Dilbar aata hai,
Aajkal ka pyar hai kya yeh to khel taamasha hai.
Apna jeevan gujar jaata hai, pyar samajh nahi aata hai,
Pyar to yaaro hai wo deepak jo rahe dikhlata hai,
Yaaro pyar koi hawas nahi hai, wo to ek ehsaas hai,
Jo kuch leta nahi hai hamse, humko sab de jaata hai,
Pyar to yaaro hai wo jazzba jisko puja jaata hai,
Aajkal ka pyar hai kya yeh to khel taamasha hai.
Submitted bySARIKA
Got a good shayri yourself? Submit your best Shayari to FUKKAD, and if we enjoy, we might make you famous - or at least put your name, email, address & country on the site.
Email it to us
|